dil ki dhadkan ko hayat-e-jawidan samjha kiye chand lamhon ko bahaar-e-be-karan samjha kiye un ke jalwon ka ye dhoka tha ki hum bhi umr bhar ek ujde aashiyan ko gulsitan samjha kiye ye hamari ek laghzish thi ki rah-e-ishq mein har nishan-e-rah ko sang-e-astan samjha kiye kis tarah ab hum nibhaen rasm-o-ain-e-wafa jab kisi na-mehrban ko mehrban samjha kiye jaane kya aankhon se ashkon ne kaha tha raat bhar nok-e-mizhgan mujh ko apna raaz-dan samjha kiye jab hazaron ko sunai thi hadis-e-dard-o-gham ek tum hi the jo meri dastan samjha kiye aise bhi kuchh nam hain tarikh ke safhat par zindagi mein har-nafas ko imtihan samjha kiye kis tarah dete unhen husn-e-taghaful ka jawab ek muddat tak hamein jo bad-guman samjha kiye ye hamari bad-nasibi thi ki ab tak ai 'shafaq' ishq mein barbaadiyon ko raegan samjha kiye