shikwa-sanj-e-umr-e-fani hai bayan-e-arzu khatm hoti hi nahin hai dastan-e-arzu aankhon aankhon mein kahi hai dastan-e-arzu baaton baaton mein kiya hai raazdan-e-arzu wo bayan-e-arzu par mujh se farmane lage aarzu dil ki na nikle ye hai shan-e-arzu ban sanwar kar aae hain wo pursish-e-bimar ko le rahe hain waqt-e-naza imtihan-e-arzu mujh mein aur un mein faqat 'mushtaq' itna farq hai main sarapa aarzu hun wo hain jaan-e-arzu