meri KHizan hai rang-e-bahaaran liye hue

meri khizan hai rang-e-bahaaran liye hue
kunj-e-qafas hai aks-e-gulsitan liye hue

amwaj ka sukut hai tufan liye hue
har rahguzar hai hashr ka saman liye hue

jalwon ki kaenat zara muntashir to kar
meri nazar hai did ka arman liye hue

phaili hui hai masti-e-dam-e-bahaar-e-nau
har ek rawish hai kaif ka saman liye hue

tabdil ho ke rah gai taswir-e-kaenat
ab ahraman hai azmat-e-yazdan liye hue

takhliq-e-haq ko aaj bhi jis par ghurur hai
wo azmat-e-buland hai insan liye hue

daghon ka ek chaman mere sine mein band hai
phirta hun apne sath gulistan liye hue

zad par hai inqalab ke shiraaza-e-hayat
har dastan hai dard ka unwan liye hue

'mushtaq' wo nahin hain zamane mein kaamyab
baithe hain jo nasib ka daman liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close