shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya patthar hain sab ke hath mein mujh ko kami hai kya ab shahr mein wo phul se chehre nahin rahe kaisi lagi hai aag ye basti hui hai kya main jal raha hun aur koi dekhta nahin aankhen hain sab ke pas magar bebasi hai kya tum dost ho to mujh se zara dushmani karo kuchh talkhiyan na hon to bhala dosti hai kya ai gardish-e-talash na manzil na rasta mera junun hai kya meri aawargi hai kya khush ho ke har fareb zamane ka kha liya ye dil hi jaanta hai ki dil par bani hai kya do bol dil ke hain jo har ek dil ko chhu saken ai 'ashk' warna sher hain kya shairi hai kya