tera ghurur-e-abas intihai sath pe hai bulandi par bhi wahi hai jo khai sath pe hai phalang sakta hun jitna hai do dilon ke beach magar jo fasla jughrafiyai sath pe hai mujhe nahin hai zara ranj tah-nashini ka mujhe khushi hai chalo mera bhai sath pe hai hum aise dekhne walon ka koi dosh nahin ki zer-e-sath kasafat safai sath pe hai ye kis hunar se kiya tum ne khud ko sair ai dost ki dudh pi bhi liya aur malai sath pe hai