shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo tut gaya mat puchho ki mujh par kya guzri jab hath se saghar chhut gaya tariki-e-mahfil ka shikwa tum karte ho ai diwano kyun khud shama bujha di hai tum ne khud-bakht tumhaara phut gaya saqi ki nazar uthti hi nahin kyun baada-o-saghar ki jaanib sarmaya-e-mai-khana aa kar kya koi lutera lut gaya mahrumi-e-qismat ka aalam kya puchh rahe ho tum mujh se manzil to abhi hai dur bahut aur ek ek sathi chhut gaya uthta hai 'danish' dil se dhuan aankhon se tapakte hain aansu kya aatish-e-gham dene lagi lau kya dil ka phaphula phut gaya