sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai wafa shiar nahin wo wafa shanas to hai wo dil ki baat zaban se na kuchh kahen shayad hamare haal pe chehra magar udas to hai ye dil-fareb banaras ki subah ka manzar awadh ki sham-e-dil-ara hamare pas to hai bharam rahega tere mai-kade ka bhi saqi bala se khali sahi hath mein gilas to hai chale hi jaen nigahon se dur aap magar hasin yaadon ki daulat hamare pas to hai kare bhale hi na rahmat ki mujh par tu barish tere karam ki mere dil mein ek aas to hai ye sach hai us ne bujhai na tishnagi lekin hamari tishna-dahani ka us ko pas to hai durust hai ki farishta-sifat nahin 'danish' khuda gawah basirat ki us ko pyas to hai