shoala-e-gul gulab shoala kya aag aur phul ka ye rishta kya tum meri zindagi ho ye sach hai zindagi ka magar bharosa kya kitni sadiyon ki qismaton ka main koi samjhe bisat-e-lamha kya jo na aadab-e-dushmani jaane dosti ka use saliqa kya kaam ki puchhte ho gar sahab aashiqi ke alawa pesha kya baat matlab ki sab samajhte hain sahab-e-nashsha gharq-e-baada kya dil-dukhon ko sabhi satate hain sher kya git kya fasana kya sab hain kirdar ek kahani ke warna shaitan kya farishta kya din haqiqat ka ek jalwa hai raat bhi hai usi ka parda kya tu ne mujh se koi sawal kiya karwan-e-hayat-e-rafta kya jaan kar hum 'bashir-badr' hue is mein taqdir ka nawishta kya