na jaane kaun sa manzar nazar mein rahta hai tamam umr musafir safar mein rahta hai ladai dekhe hue dushmanon se mumkin hai magar wo khauf jo diwar-o-dar mein rahta hai khuda to malik-o-mukhtar hai kahin bhi rahe kabhi bashar mein kabhi jaanwar mein rahta hai ajib daur hai ye tai-shuda nahin kuchh bhi na chand shab mein na suraj sahar mein rahta hai jo milna chaho to mujh se milo kahin bahar wo koi aur hai jo mere ghar mein rahta hai badalna chaho to duniya badal bhi sakti hai ajab futur sa har waqt sar mein rahta hai