shoala hun phir bhi barf ke ek pairahan mein hun mahsus ho raha hai ki zinda kafan mein hun ab jahilon si baat bhi karna muhaal hai kati hui zaban ki surat dahan mein hun kya marhala hai ahd-e-safar se safar talak panw ruke hue hain musalsal thakan mein hun chahat ke har muhit se bahar hain walwale hijrat kare hai soch magar khud watan mein hun phaila hua hun dhup ki surat nagar nagar 'akhtar' main bu-e-gul ki tarah har chaman mein hun