shuur-e-gham ki tanhai se jal-thal ho chuki hai

shuur-e-gham ki tanhai se jal-thal ho chuki hai
main koi zindagi tha jo moattal ho chuki hai

koi imdad ka pahlu nikal aane se pahle
jo mushkil thi hamare samne hal ho chuki hai

sahar ka jism kyon takte nahin hain basti wale
shab-e-uftad to aankhon se ojhal ho chuki hai

na ab dikhlao un se milta-julta koi chehra
mere andar ki duniya kab ki pagal ho chuki hai

hui nazdik manzil to nahin chalne ka yara
badan kamzor hai ya khaal bojhal ho chuki hai

hamare sar se abr-e-afiyat guzre to jaanen
hawa raftar mein kitni musalsal ho chuki hai

fasilen samraji tauq pahne ro rahi hain
kahani shahzadon ki mukammal ho chuki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close