shoala-khez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai zindagi goya chita ki bolti taswir hai dekh kar sehn-e-chaman ko ye guman hone laga goya khinchne ko nai si phir koi taswir hai aashiyan ki zindagi se ho chala hai dil uchat phir wahi shauq-e-shahadat dil ka daman-gir hai aaj az-rah-e-karam bhar de labaalab saqiya zauq-e-mai-noshi mera phir maujib-e-tazir hai aa rahi hai kan mein tauq-o-salasil ki sada naghma-bar-andaz phir se naghma-e-zanjir hai kashtiyan mauj-e-hawadis se na takraen kahin nakhuda ka khwab jaise tishna-e-tabir hai 'zabt' ki haalat pe rota hai zamana dekhiye fasl-e-gul par ru-e-shabnam us ki ye taqdir hai