shoala shamim-e-zulf se aage badha nahin sahra ki jalti ret mein thandi hawa nahin pile badan mein nili ragen sard ho gain khun barf ho gaya hai koi rasta nahin us ke makan ki chhat pe sulagne lagi hai dhup kamre se apne raat ka dera utha nahin baadal lipat ke so gae suraj ke jism se dariya ke ghar mein aaj bhi chulha jala nahin khamosh kyun khade ho mazaron ke shahr mein be-jaan pattharon ne to kuchh bhi kaha nahin