shoalagi ho dekhna ya ho sharara dekhna dushmani apnon se ho to kya khasara dekhna hosh baqi hain abhi kuchh jaan badan mein hai abhi ai nigah-e-sehr-za mujh ko dobara dekhna mere bachpan laut aa tu ek lamhe ke liye chahti hai zindagi tujh ko dobara dekhna jab qadam rakh hi diye hain rahguzar-e-shauq mein aate jate mausamon ka kya ishaara dekhna sar-nigun tufan ko karne ka nasha kuchh aur hai chahta hai kaun dariya ka kinara dekhna kaun si saat hai behtar kaun sa pal thik hai us se milna hai zara tum istikhara dekhna dil ko bhata hai bahut barish ke tham jaane ke ba'd dhup khilna baadalon ko para-para dekhna main to jab bhi dekhta hun us ka chehra hi lage subh ki dahliz par raushan sitara dekhna itni aasan bhi nahin 'yawar' hamari shaeri gar samajhna ho hamein to istiara dekhna