shor-sharaba chhod ke pahuncha virani tak chalte chalte chhut gaya dana-pani tak aag ne mujh se hath milaya ghar aa baithi aankhen phade dekh rahi hai hairani tak dub gae to sari duniya bura kahegi dekho mujh mein paon na rakhna tughyani tak itna aasan to nahin us ka wapas hona bech ke iman pahuncha hai be-imani tak subh ko uth kar dekha to mujh par raaz khula ye chand ki sari shohrat hai bas tabani tak hum to hum hain tajwaron par roab wo chhaya paon pe us ke rakh diye taj-e-sultani tak aag dar-o-diwar khirad ko rakh banae kuchh na bache to hum ko pahunchae pani tak sharm se koi marna chahe to bhi kare kya 'yawar' ab nayab hai chullu-bhar pani tak