shoale se chaTakte hain har sans mein KHushbu ke

shoale se chatakte hain har sans mein khushbu ke
aai hai saba shayad wo phul sa tan chhu ke

ehsas ke jangal mein ek aag bhadakti hai
jhonke kisi gulshan mein hain raqs-kunan lu ke

auron ne bhi puja hai ai dost tujhe lekin
yaksan to nahin hote jazbaat man-o-tu ke

ye ahd-e-tamanna bhi ek daur-e-qayamat hai
jab husn piye aansu aur ishq lahu thuke

hum khosha-e-gandum ko jannat se yahan lae
phir bhi tere diwane duniya mein rahe bhuke

wo dard ko chinta tha palkon se sitaron ko
naghmon mein badalta hai ehsas ke lab chhu ke

kuchla hai bahut dil ko sangin haqaeq ne
phir bhi na 'zafar' bhule qisse rukh-o-gesu ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close