shoara mein na ho kyun sher hamara uncha ki qad-e-yar ka mazmun hai bandha uncha naz ki nashw-o-numa hai ki hai joban ka ubhaar warna kya hai tere sine pe ye uncha uncha dil musafir hai safar shab ka phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nicha uncha ai adab khar ki tazim hai nicha rahna han kahin ho na sar-e-abla-e-pa uncha zulf hai past jo gesu se to ye kakul se chau-gune martaba mein is se hai turra uncha chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ek hath ghair mumkin hai zamin se bahe dariya uncha kyun 'waqar' apna gala pir-o-jawan phadte hain pir-e-kohna hai falak had se hai sunta uncha