shohra-e-afaq mujh sa kaun sa diwana hai hind mein main hun paristan mein mera afsana hai said-gah-e-murgh-e-dil rukhsara-e-jaanana hai dam-e-zulf-e-ambarin hai khal-e-mushkin dana hai husn se rutba hai apne ishq-e-kaamil ka buland aastana par pari hai baam par diwana hai is mein rahta hai safa-e-ru-e-jaanan ka khayal dil nahin pahlu mein apne aaina ka khana hai bechta hun dil ko jo mahbub chahe mol le bosa qimat hai tawajjoh ki nazar baiana hai phuten wo aankhen nigah-e-bad se jo dekhen tujhe aatishin rukhsar mijmar khal kala dana hai roz-o-shab us shama-ru ko bhejta hun khatt-e-shauq nama-bar din ko kabutar raat ko parwana hai khar khar-e-dil ghanimat jaanta hun ishq mein zulf-e-dud-e-ah ki aarastagi kashana hai sharh likkha chahiye us ki bayaz-e-subh par matla-e-khurshid bait-e-abru-e-jaanana hai haalat-e-aina rakhta hai safa se dil mera aashna se aashna begana se begana hai qatl se mujh sakht-jaan ke munkir ai qatil na ho hujjat-e-qate teri talwar ka dandana hai waste har shai ke duniya mein muqarrar hain mahal shahr mein jab tak hai majnun ganj-e-be-virana hai bagh-e-alam mein nahin us shokh sa koi hasin gul hai apna yar yusuf sabza-e-begana hai ab nahin ai yar jauban ko tere bim-e-zawal khatt-e-mushkin husn ki jagir ka parwana hai haal hai jis ka usi ke waste hai khushnuma naqs hai talwar ka wasf arra ka dandana hai yar khinche tegh tere qatl karne ke liye sar jhuka 'atish' ye ja-e-sajda-e-shukrana hai