shohraton ki hamein lalak hai bahut khud-numai mein kya chamak hai bahut bujh rahe hain charagh aankhon ke ek dhundalka sa dur tak hai bahut lamha bhar ka faqat dhamaka hai bijliyon mein kahan chamak hai bahut zakhm to bhar chuke sabhi lekin ab bhi ehsas ki kasak hai bahut ped budha sahi magar phir bhi tahniyon mein abhi lachak hai bahut nikhat-e-gul se hum ko kya lena zakhm khul jaen to mahak hai bahut chikh utthin khamoshiyan bhi 'zafar' is bayaban mein kyon dhamak hai bahut