ghar mein rahta hun to panw mein safar jagta hai jaise aaghosh mein dariya ke bhanwar jagta hai jab kisi unchi haweli pe thaharti hai nigah kyon usi waqt mere dil mein khandar jagta hai baith jate hain ghani chhanw mein hum bhi jis dam wadi-e-ruh mein yaadon ka shajar jagta hai ijz aankhon se tapakta hai jab aansu ban kar tab kahin ja ke duaon mein asar jagta hai baat kya hai ki hamein aati nahin gahri nind band hoti hain agar palken to sar jagta hai kuchh ajab hota hai wo lamha-e-takhliq 'zafar' dast-e-fan-kar mein jab waqt-e-hunar jagta he