shokh the rang har ek daur mein afsanon ke dil dhadakte hi rahe aas mein insanon ke ilm ne khair na chahi kabhi insanon ki zarre barbaad yunhi to nahin viranon ke rahen shahron se guzarti rahin viranon ki naqsh milte rahe kabe mein sanam-khanon ke zindagi wala-o-shaida rahi farzanon ki nam raushan hue har daur mein diwanon ke maryami morid-e-tohmat rahi armanon ki tukde ek daftar-e-ilzam hain damanon ke fikr sab ko hai rafu ke liye samanon ki puchhta koi nahin haal girebanon ke qadr kuchh kam to nahin ab bhi tan-asanon ki roz o shab aaj bhi bhaari hain giran-jaanon ke