main bhi kya karta ki is ko bewafa hona hi tha zindagi ko ek din mujh se juda hona hi tha har dua ko mere haq mein bad-dua hona hi tha ab kisi se kya gila jo kuchh hua hona hi tha apne be-tabir khwabon ki jalan kis se kahun is gulabi shahr ko aatish-kada hona hi tha phir bhi pani ki mujhe qimat ada karni padi mere lab par tishnagi ka zaiqa hona hi tha maut ke be-rahm hathon ko bahane ki talash zindagi ke sath koi hadisa hona hi tha main bahut hassas hun is mein kisi ka kya qusur aaina ban kar mujhe sang-ashna hona hi tha main ne apne sare nakhun kat dale the magar zakhm ko 'masum' dobara hara hona hi tha