shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai kaifiyyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein hai faiz-e-nasim se hain khile gul rawish rawish firdaus ki bahaar hamare chaman mein hai wo kaifiyat kahan hai mai-e-nau-kashid mein jo lutf jo maza ki sharab-e-kuhan mein hai shahnaz-e-gul bata de zara ahl-e-shauq ko khushbu ye kis badan ki tere pairahan mein hai 'sahir' ke faiz-o-lutf se kah leta hai ghazal ab 'raaz' ka shumar bhi ahl-e-sukhan mein hai