shor hai chikh hai sada hai ghazal zakhm hai dard hai dawa hai ghazal aarzu shauq chah chain sukun karb hai zabt hai buka hai ghazal hijr mein bhi shab-e-firaq mein bhi ham-safar bhi hai ham-nawa hai ghazal mah-o-anjum bhi chand suraj bhi jis mein rahte hain wo sama hai ghazal main tha madhosh-e-did-e-chashm-e-ghazal hosh mein lane ki hawa hai ghazal ashk aankhon ke puchhne ke liye meri chadar meri rida hai ghazal dard jitne chhupe hain pahlu mein raaz sare tumhein pata hai ghazal khubsurat koi nahin dikhta meri khatir jo mah-laqa hai ghazal mere haalat ne wafa na kiya gham nahin kyunki ba-wafa hai ghazal meri tanhai ki ye sathi hai log kahte hain ki bala hai ghazal ashk palkon talak na aane diya kitni masum-o-ba-haya hai ghazal roab ho khauf ya pashemani koi tujh mein nahin dikha hai ghazal meri khamoshiyon ko todne ka wo qarin mere aslaha hai ghazal mere dil ka ishaara jaanti hai is qadar mujh se aashna hai ghazal nasr mein khub aati rahti hai sher mein jaane kyon khafa hai ghazal mujh se puchha gaya miloge kahan main ne kaghaz pe likh diya hai ghazal