talluq ki kadi tuti nahin hai umid-e-zindagi tuti nahin hai faqat milna-milana kam hua hai hamari dosti tuti nahin hai badi aandhi chali hai is chaman mein magar koi kali tuti nahin hai kamanden phenkiye aql o khirad ki fasil-e-agahi tuti nahin hai purane bans ke pul ki hamare koi bhi aas abhi tuti nahin hai suna hai bawajud-e-zor hum ne dhanak rawan se bhi tuti nahin hai