shor itna hai ki tanhai ho mahfil jaise

shor itna hai ki tanhai ho mahfil jaise
kisi tufan ki zad mein koi sahil jaise

use dekha to khayalon mein jo manzil thi gai
wo hi tha meri tamannaon ka hasil jaise

main to samjha tha ki hum donon ka jazbaat hai nam
aaj lagte ho magar tum kisi aaqil jaise

hama-tan gosh hun aawaz pe us ki aise
mere sine mein dhadakta ho tera dil jaise

pahli manzil pe hi qurban hua yun 'arif'
tai hue manzil irfan ke marahil jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close