sochi thi jo wo jurm-o-saza tak pahunch gai jo baat dil mein thi wo khuda tak pahunch gai patta gira ki sar pe koi sang aa laga chup-chap us ki yaad sada tak pahunch gai us gul pe phul phul ne dil mein kiya hai rashk jab shab ki baat baad-e-saba tak pahunch gai main mahw-e-khwab tha ki mere man ki ek mauj utthi to us ke band-e-qaba tak pahunch gai main baat kar raha tha zamane ke jaur ki aage badhi to us ki ada tak pahunch gai ek aarzu ki dil mein rahi hai tamam-umr tang aa ke aaj dast-e-dua tak pahunch gai