shor kaisa hai mere dil ke kharabe se utha shahr jaise ki koi apne hi malbe se utha ya utha dasht mein diwane se bar-e-furqat ya tere shahr mein ek chahne wale se utha ya meri khak ko mil jaane de is mitti mein ya mujhe khun ki lalkar pe kuche se utha tu mere pas nahin hota ye sach hai lekin teri aawaz par har subh mein sote se utha chaak pe rakkha hai to lams bhi de hathon ka meri pahchan tattul ke andhere se utha dil ki hai khun ka ek qatra magar duniya mein jab utha hashr isi ek ilaqe se utha ye ujalon ki inayat hai ki banda-e-'ashhar' apne sae pe gira apne hi sae se utha