zindagi ek aag hai wo aag jalna chahiye

zindagi ek aag hai wo aag jalna chahiye
be-hisi ek barf hai is ko pighalna chahiye

maut bhi hai zindagi aur maut se darna fuzul
maut se aankhen mila kar muskurana chahiye

walwale tufan-o-andhi barq-o-baran zalzale
in nae sanchon mein hum ko aaj dhalna chahiye

bhuk bekari ke shikwe un se karna hai fuzul
un ke aage tan kar sina nikalna chahiye

ne diya hai aur na denge ye masaib ka jawab
ab hamein taqdir apni khud badalna chahiye

ho gali kuche mein charcha baat ye kafi nahin
dushmanon ke panw ki dharti dahalna chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close