shor mat karna abhi meri ghazal ke pichhe hasraten soi hain is taj-mahal ke pichhe ghaur karta hun to kuchh zaiqa badh jata hai aandhiyan jheli hain pedon ne bhi phal ke pichhe bas yahi soch ke main apne uthata hun qadam ruh chalti hai buzurgon ki amal ke pichhe