kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab ek ek baat par thi ladai tamam shab ye bhi hai zulm to ki use wasl mein raha zikr-e-tulu-e-subh-e-judai tamam shab kis be-adab ko arz-e-hawas har nigah mein thi aankh us ne bazm mein na uthai tamam shab yan iltimas-e-shauq wahan ehtiraaz-e-naz mushkil hui thi ohda-barai tamam shab kya sar pe kohkan ke hui be-sutun se aaj 'mamnun' sada-e-tesha na aai tamam shab