shor se pak shab-o-roz guzare ghar mein

shor se pak shab-o-roz guzare ghar mein
hum ki tarse hi rahe koi pukare ghar mein

hum yatimon ko kahan aate the nakhre karne
yani jhagda nahin hota tha hamare ghar mein

hum to bas ek hi kone mein pade rahte the
aur mahrumi raha karti thi sare ghar mein

aayaten kan mein padti thin sahar hone par
hum to rahte the jahan bhar se niyare ghar mein

ek mamta thi jise hum ne khuda samjha tha
jab wo hansti thi utarte the sitare ghar mein

ek hasrat ki main huqqe ki chilam bhar kar dun
ek khwahish ki mera bap khankare ghar mein

chaar-diwari thi ghurbat bhi thi yani 'tahsin'
ek diwar ziyaada thi hamare ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close