tumhaari justuju ki hai wahan tak nahin pahunche jahan wahm-o-guman tak jo rishte the hamare darmiyan tak wo le aae hamein ab imtihan tak mohabbat mein maqam aaya hai kaisa ayan hone ko hai raaz-e-nihan tak nahin milta tera sani kahin bhi nazar pahunchi hai apni kahkashan tak palat kar jab kabhi dekha to samjha kahan se aa gae hain hum kahan tak sambhal kar baat kije shaikh-ji se rasai un ki hai pir-e-mughan tak tatola hai unhon ne dil ko aksar magar pahunche nahin dard-e-nihan tak nazar aata hai bas jalwa usi ka pahunchti hai nazar apni jahan tak ye fasl-e-gul ye bulbul ki asiri hain fariyaadi qafas ki titliyan tak yaqinan qabil-e-azmat hai 'ghazi' na uf ki sun ke us ne galiyan tak