shorish se chashm-e-tar ki zi-bas gharq-e-ab hun din raat bahr-e-gham mein ba-rang-e-hubab hun ye daur ab to hai ki raqibon ki bazm mein tu mast ho sharab se aur main kabab hun mujh khun-girafta par mere qatil kamar na bandh mein aap apne qatl ka khwahan shitab hun har subh-o-sham bagh mein sahra mein jun nasim us gul ki justuju ki hawas par kharab hun hairat se us ko dekhte hain misl-e-aina ifsha-e-dard-e-dil se khada be-jawab hun aagah hai khuda hi 'muhib' roz kis liye nazron mein un butan ki mahall-e-itab hun