main wo majnun hun ki aabaad na ujda samjhun musht-e-khak apni uda kar use sahra samjhun is qadar mahw hun in shola-rukhon ka jun shama ki na jalne ko pahchanun na tamasha samjhun chashmak-e-yar hain mujh shama ke haq mein gul-gir dam ye qainchi ke main anfas-e-masiha samjhun gardish-e-chashm-e-sajan le gaya khatir se ghubar us ko dasht-e-dil-e-'uzlat' ka bagula samjhun