shua-e-ishq-o-mohabbat ke jhilmilane tak charagh jalte rahenge tumhaare aane tak ye rasta hi sahi is ki khasiyat ye hai pahunch raha hai tumhaare nigar-khane tak tujhe har ek ghadi yaad karne se le kar hai ek tawil masafat tujhe bhulane tak na jaane kis ki nazar ne kiya hai ishq rawan ye dariya sukh chuka tha kabhi dahane tak wo chand tha ki na hath aa saka kisi surat chakor phirta raha pichhe ek zamane tak wo aasman ki bulandi tak aate bhi kaise rasai fikr ki jin ki thi aab-o-dane tak na jaane fasle kitne samet kar 'aqib' hum apne daur se pahunche tere zamane tak use samajhne mein kitne hi pech hon 'aqib' ye naqsha wo hai jo le jaega khazane tak