mahfil-e-zist bhi saji hai abhi

mahfil-e-zist bhi saji hai abhi
haisiyat dil ki markazi hai abhi

ek tamanna bujhi bujhi hai abhi
ek khwahish dabi dabi hai abhi

aur thode mizaj mil jaen
ye mulaqat sarsari hai abhi

tere chehre pe maslahat raushan
tera lahja bhi makhmali hai abhi

jhut ka phat padega ghubbara
is mein kafi hawa bhari hai abhi

wo jo majburiyon se gundhi gai
wo hansi mez par rakhi hai abhi

kuchh to andaza ho gaya qaem
tajziya garche sarsari hai abhi

daudta hai ragon mein khun 'aqib'
aur rawan sanson ki nadi hai abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close