shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam

shughl hi shughl hai aur aah-e-sahar se kya kaam
dard-mandan-e-mohabbat ko asar se kya kaam

abru apni salamat rahe zar se kya kaam
ashk-e-tar se mujhe matlab hai guhar se kya kaam

yaad se gesu-o-rukh ki jinhen matlab thahra
sham se un ko gharaz kya hai sahar se kya kaam

tu ho zulfen hon teri shana ho aaina ho
tujh ko be-dard mere dard-e-jigar se kya kaam

teri ulfat hi nahin dil mein to dil se matlab
tera sauda hi nahin sar mein to sar se kya kaam

sarguzasht-e-dil-e-majruh likhi zalim ko
hijr mein hum ne liya khun-e-jigar se kya kaam

jin ko hans hans ke rulana hi faqat aata ho
un ke daman ko mere dida-e-tar se kya kaam

dil-e-nazuk na dhadak jae kisi ka 'muztar'
khun jab ye ho to nalon ko asar se kya kaam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close