us ko hua hai pyar ka aazar kis tarah nargis chaman mein ho gai bimar kis tarah dil par karam kare nigah-e-yar kis tarah bimar se ho pursish-e-bimar kis tarah aankhen hain kor jalwa-e-jaanan nazara-soz niklegi dil se hasrat-e-didar kis tarah marna tha sahl pas-e-wafa se na mar saka itni si baat ho gai dushwar kis tarah dil mein bandha tasawwur-e-zulf-e-daraaz-e-yar zanjir ho gai hai giraftar kis tarah ai aah-e-garm teri to shokhi nahin hai ye kumhla gae hain phul se rukhsar kis tarah itna koi khuda ke liye aa ke dekh le dam todta hai 'muztar'-e-bimar kis tarah