shukr-e-rab hai ki bas aman mein hun kin duaon ke saeban mein hun par hain bhige hue udan mein hun waqt ke sakht imtihan mein hun aaj bhi ajnabi hai har apna jab ki barson se khandan mein hun pattharon ne sukun chhin liya jab se main kanch ke makan mein hun kya judai ka aur ho imkan tere dil mein hun teri jaan mein hun ghar ki tarif kya karun rahat main to muddat se ek makan mein hun