na ye samajhna udasi hi apne ghar hogi yaqin kije kabhi to nai sahar hogi bahut qadim mera zindagi se rishta hai kise khabar thi meri chah dar-ba-dar hogi isi sabab na kabhi ruk saka safar mera teri tawajjoh kabhi meri rahbar hogi qadam uthae hain hum ne bhi is yaqin ke sath jahan se guzrenge hum teri rahguzar hogi abhi irada nahin apna tark-e-duniya ka jahan kahin bhi rahun aap ko khabar hogi kisi bhi haal mein ai 'naz' hum nahin mayus kabhi zamane ki hum par bhi yak nazar hogi