shukr hai aap aa gae aaj ka din to tal gaya thodi si baat ho gai thoda sa dil bahal gaya chashm-ba-chashm guftugu shahr-ba-shahr ku-ba-ku sina-ba-sina raaz-e-dil dur talak nikal gaya shoala numu-pazir tha us ki rida-e-sard mein shokh hawa thi be-khabar barf se hath jal gaya shor hai be-dili ka shor dhyan se meri baat sun tera khayal-e-dil-sitan dil se mere nikal gaya sae jhulas ke rah gae waqt ki tez dhup mein mera bhi rang ud gaya tera bhi rup dhal gaya waise to kuchh nahin hua dekh ke us ki ek jhalak panw se khinch gai zamin hath se dil phisal gaya chaaragaron ke darmiyan us ki kami rahi magar sham-e-firaq-e-yar ka yaad se kaam chal gaya jadu teri nigah ka aaj na mujh pe chal saka aaj tera khayal bhi kaise kahun ki khal gaya