shukr karne ko hai zaban koi

shukr karne ko hai zaban koi
aaj shayad hai mehrban koi

hai tamanna abhi jawan koi
aur baqi hai imtihan koi

lakh kahlae la-makan koi
dil ko matlub hai nishan koi

hai bahaaron pe gulsitan koi
gul khilane ko hai jahan koi

ye tasawwur mein aa raha hai nazar
mere un ke hai darmiyan koi

hosh aae to aastan dhunde
sajda-gar ho to kyon kahan koi

kya kisi ne mujhe pukara phir
aur baqi hai imtihan koi

chashm-e-rindan ye rang hai dil ka
hai nigahon mein aasman koi

rind jaur-e-falak se nalan hain
aur dhundenge aastan koi

aah karne se mana karta hai
soz-e-dil mein bhi hai nihan koi

be-rukhi ishq se nahin achchhi
ban na jae ye dastan koi

ye chaman hai to hum bhi ai sayyaad
phir bana lenge aashiyan koi

is liye samne nahin aate
raaz ho jaega ayan koi

gham ki duniya mein khush-nasibi se
'shad' hota hai mehrban koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close