phanse kuchh aise hum aah-o-fughan ke dhoke mein dhuan samet liya aasman ke dhoke mein ye kya khabar thi ki khud kar rahe hain darbani lipat gaya main unhin pasban ke dhoke mein jo chhat ki tiliyan gal sad ke gir paden niche qafas pe barq giri aashiyan ke dhoke mein khurand noch diye jab tamam zakhmon ke rahe wo dil mein mere gulsitan ke dhoke mein ye kis ka dar hai kuchh itni khabar nahin mujh ko jhukaya sar ko tere aastan ke dhoke mein shab-e-visal mein dadhi mundai kaam aai lipat gae wo mujhe naujawan ke dhoke mein phansi sarab mein mujh na-murad ki kashti hai nakhuda abhi aab-e-rawan ke dhoke mein sunai yar ko sheron mein ishq ki rudad wo aa gae mere tarz-e-bayan ke dhoke mein jo puchha ghair ke ghar kyon gae to farmaya pahunch gae wahan tere makan ke dhoke mein kiya wo charb-zabani se kaam qasid ne sunaya haal mera dastan ke dhoke mein na hoga 'bum' sa duniya mein chutiya koi bahaar mein bhi raha ye khizan ke dhoke mein