shurua ahl-e-mohabbat ke imtihan hue ab un ko naz hua hai ki hum jawan hue sabhon ki aa gai piri jo tum jawan hue zamin ka dil hua mitti kham aasman hue ghazab se kam nahin hota wafur-e-rahmat bhi main dar gaya wo ziyaada jo mehrban hue are zara mere dil se ye koi puchh aae usi tarah wo khafa hain ki mehrban hue khila naya koi gul dur dur pahunchi bu na kyun jahan mein ho shohrat ki wo jawan hue dil-o-jigar ki jagah dagh tak nahin baqi jo nam-dar pade the wo be-nishan hue dil-o-jigar mein nahin jaan-e-tan ka zikr hai kya hamare marne se khali kai makan hue guzishtagan ke jo qisse bayan karte the ab un ke zikr bhi kanon ko dastan hue ewaz namaz-e-janaza ke mere lashe par tamam qissa-e-mehr-o-wafa bayan hue gaya dil us ka wo aa baithe jis ke pahlu mein bas us ki jaan gai jis pe mehrban hue wo qatl karte magar rahm aa gaya hai 'rashid' ye mere nale mere waste aman hue