sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain dhup aankhon tak aa jae to khwab bikharne lagte hain insanon ke rup mein jis dam sae bhatken sadkon par khwabon se dil chehron se aaine darne lagte hain kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko baithe baithe kyun ye khud se baaten karne lagte hain ishq ki apni hi rasmen hain dost ki khatir hathon mein jitne wale patte bhi hon phir bhi harne lagte hain dekhe hue wo sare manzar nae nae dikhlai den dhalti umr ki sidhi se jab log utarne lagte hain bedari aasan nahin hai aankhen khulte hi 'amjad' qadam qadam hum sapnon ke jurmane bharne lagte hain