shurua silsila-e-did karne wala tha taaruf-e-rukh-e-tauhid karne wala tha khud us ki zud lisani ne us ko gung kiya wo mere haal pe tanqid karne wala tha mizaj-e-yar ne bakhshi thi aisi yak-rangi kahan main ghair ki taqlid karne wala tha tu muntaha ko pahunch kar bhi sifr hai ab tak tujhe main waqif-e-tamhid karne wala tha hamari sal mein do bar jaan jati hai wo shakhs roz hi ek id karne wala tha wo mere waz se masjid mein jab sambhal na saka sharab-khane mein takid karne wala tha bacha ke fikr ko talkhaba-e-tawarud se ghazal ko khugar-e-taqid karne wala tha wo ham-piyala bhi tha khwaja-e-tash bhi 'kawish' jo baat baat pe tardid karne wala tha