na kyun tir-e-nazar guzre jigar se kahin ye war rukte hain sipar se kisi se ishq apna kya chhupaen mohabbat tapki padti hai nazar se hui hai un ke mushtaqon se rah band wo mere ghar bhala aaen kidhar se bhala dil ka kahan milna ki un ki nazar bhi to nahin milti nazar se mujhe diwar hairat ne banaya gaya hai jhank kar ye kaun dar se kabhi tuten kabhi sayyaad kate gharaz udna nahin hai baal-o-par se kahan ki pairwi jab qasd ye ho ki aage badh ke chaliye rahbar se na kholenge to ye tutega aakhir ki main takra raha hun sar ko dar se ladai ka na main todunga phir tar zara si chhed ho jae udhar se agar jati hai jaan milta hai jaanan hamein to nafa afzun hai zarar se raha dil mein na hargiz tir us ka hamein khatka yahi tha peshtar se siwae shar na kuchh dekha adu se khuda mahfuz rakkhe us bashar se hua go paemal-e-ghair 'majruh' na sarka yar ke par rahguzar se