shuur-e-fasla-e-khair-o-shar diya hai mujhe teri nigah ne tabdil kar diya hai mujhe mera maqam kahin aur tha pa lagta hai kisi ne rau mein kahin aur dhar diya hai mujhe bas ek gila sa teri chashm-e-nim-baz se hai ki us ne waqt bahut mukhtasar diya hai mujhe mujhe khabar nahin sauda hai ya tajassus hai mere khamir ne kya dard-e-sar diya hai mujhe main apni rah bana lunga kohsaron mein khirad ne koh-kani ka hunar diya hai mujhe