shuur-e-zat ke sanche mein dhalna chahta hun main girne se bahut pahle sambhalna chahta hun libas-e-adam-e-khaki badalna chahta hun main apne jism se bahar nikalna chahta hun tumhaari yaad ki barish mein jalna chahta hun main sang-o-khisht hun lekin pighalna chahta hun mere andar khazane hain ugalna chahta hun tah-e-patal ko chhu kar uchhalna chahta hun mujhe pichhe nahin rahna hai jine ki tamanna husain ibn-e-ali ke sath chalna chahta hun